Friday, 30 November 2012

Kabhi waqt mile to aajao

Kabhi waqt mile to aajao,
Ham jheel kinare ja baithen,
Tum apne sukh ki baat karo,
Hum apne dukh ki baat karain,
Aur un lamhoon ki baat karain,
Jo sung tumhare beet gaye,
Aur ehd-e-khizan ki nazar howy,
In sabz ruton k daman mai,
Hum pyar ki khushbo mehkain,
In bikhray sabz nazaron ko,
Ham aankhon men tasveeer karain,
Phir apne pyar k jado se,
Hum lamhoon ko jageer karain,
Kabhi waqt milaye to ajao...
Hum jheel kinare ja baithen

Kitab-e-dil

Kitab-e-dil pe likhay thay kitnay he afsanay
kuch qisse naye thay aur kuch berson puranay

Kuch un ka zikr jo kabhi rug-e-jaan se they qareeb
kuch wo jo aaj bhi lagtay hain begaanay

Kaash aisi koi rut koi moosam aaye
khushiyon bhare geet hum lagein gungunanay

Aaj bhi dil mera is aas pe zinda hia
aik roz to aayein ** wo hum ko mananay

Safha-e-dil ko koi humare perh ker

Muharram


"GHAZAL"

Kabhi Gham ke aag me jal utthe
Kabhi Dagh-e-Dil ne jala dia
Ay Junoon-e-Ishq bata zara
Muje q Tamasha Bana dia
Gham-e-Ishq kitna ajeeb hai
Ye Junoon se kitna qareeb hai
Kabhi Ashk pe rukh gaye
Kabhi Pura Darya Baha dia
Abi kar raha hai wo ibteda
Mera Keh Raha hai ye tajruba
Usay Zindagi ke hai Aarzoo
Muje zindagi ne mita dia
Dukh dene walay se "MOHABBAT" karo
Lekin kissi mohabbat karny walay ko
DUKH mat do 
Sari Dunya ke liye "TUM" koi 1 ho,
Lekin kissi 1 k lie "TUM" Puri Dunya ho

A silent message


Ansuoon ki Tarah Nazron say Giraya Us Ne

Ansuoon ki Tarah Nazron say Giraya Us Ne
Apni khabar Na Mili Kuch Aise khak Mein Milaya Us Ne,

Elzaam Mujh Pe Lagaaya Magar Bewafa khud Tha
Pehle Dewana Banaya Phir Mujhey Thukraya Us Ne,

Usko Mazaa Aata Hai Mujhko Sataane Mein
Mujhe Geeli Lakri ki Tarah Jalaya Us Ne,

Aaya Na Tha Us ko Wadaa Wafaa Karnaa
Logon ko Jhota Apni Wafa ka Qisa Sunaya Us Ne,

Tanhayon K Dard Se khoob Waqif Tha Woh
Pher Bhi Dunya Mein Mujhe TANHA Baanaya Us Ne.

Wednesday, 28 November 2012

عمر خود را با غریبی ساختم در ره عشق کسی دل باختم

عمر خود را با غریبی ساختم در ره عشق کسی دل باختم
هستی ام شد غرق دریای سکوت با خیالش روزها پرداختم
در فراقش اشک چشم و سوز و آه غیر ناله نغمه ای ننواختم
گریه ام را شانه ای کم بود لیک روی حاجت با کسی ننواختم
روزی فاش کردم راز خویش عشق پاکم را هویدا ساختم
گفتمش از شعله ی چشمان تو ناله کردم سوختم بگداختم
گفتمش با من بمان ای نازنین با تو این ویرانه دل را ساختم